Hindi:
श्री अर्गला स्तोत्र नमस्कार
English:
Shri Argala Stotra Namaskar
Namaskar Devi Jayanti Maharani,
Shri Mangala Kali Durga Bhawani.
Kripalani Aur Bhadrakali Kshama Maa,
Shiva Datri Shri Swaha Rama Maa.
Namaskar Chamunde Jag Taarini Ko,
Namaskar Madhukaitabh Sanhaarini Ko.
Namaskar Brahma Ko Var Dene Wali,
O Bhakton Ke Sankat Ko Har Lene Wali.
Tu Sansaar Mein Bhakton Ko Yash Dilaye,
Tu Dushton Ke Panje Se Sabko Bachaye.
Tere Charan Pooju, Tera Naam Gaun,
Tere Divya Darshan Ko Hriday Se Chahun.
Mere Nainon Ki Maiyya, Shakti Badha De,
Mere Rog Sankat Kripa Kar Mita De.
Teri Shakti Se Main Vijay Paata Jaaun,
Tere Naam Ke Yash Ko Failaata Jaaun.
Meri Aan Rakhna, Meri Shaan Rakhna,
Meri Maiyya, Bete Ka Tum Dhyaan Rakhna.
Banana Mere Bhaagya, Dukh Door Karna,
Tu Hai Lakshmi, Mere Bhandaar Bharna.
Na Niraash Dar Se Mujhe Tum Lautana,
Sada Vairiyon Se Mujhe Tum Bachana.
Mujhe To Tera Bal Hai, Vishwas Tera,
Tere Charanon Mein Hai Namaskar Mera.
Namaskar Parmeshwari Indrani,
Namaskar Jagdambe, Jag Ki Maharani.
Mera Ghar-Grihasthi Swarg Sam Banana,
Mujhe Nek Santaan Shakti Dilana.
Sada Mere Parivaar Ki Raksha Karna,
Na Apradhon Ko Mere Dil Maahin Dharna.
Namaskar Aur Koti Pranaam Mera,
Sada Hi Main Japta Rahun Naam Tera.
Jo Stotra Ko Prem Se Padh Raha Ho,
Jo Har Waqt Stuti Teri Kar Raha Ho.
Use Kya Kami Hai Zamaane Mein Mata,
Bhare Sampatti Kul Khazaane Mein Mata.
Jise Teri Kripa Ka Anubhav Hua Hai,
Wahi Jeev Duniya Mein Ujjwal Hua Hai.
Jagat Janani Maiyya Ka Vardaan Pao,
'Bhagt' Prem Se Paath Durga Ka Gao.
Doha
Sukh-Sampatti Sabko Mile, Rahe Klesh Na Lesh,
Prem Se Nishchay Dhaar Kar, Padhe Jo Paath Hamesha.
Sanskrit Ke Shlokon Mein Goodh Hai Ras Lavleen,
Nath Rishi Vaakyon Ke Bhaavon Ko Samjhe Kaise Deen.
Ati Kripa Bhagwan Ki, 'Bhagt' Jab Hi Ho Jaye,
Padhe Paath, Manokamna Pooran Sab Ho Jaye.
Analyse your Horoscope by India no 1 Astrologer Astro Bhagyaraj Gupt take appointment click at this link Appointment With Aacharya Ji by Call | आचार्य जी से फ़ोन पर बात करें or You can whatsapp +91 91156 51234 . Om Namho Bhagwate Vasudevaya Namha.